google.com, pub-1642391381666085, DIRECT, f08c47fec0942fa0 Animals In Love: 2009

Saturday, November 28, 2009

Animals in Meditation

Fun With Animals Gestures !


He Rom-Rom Mein Basne Wale Raam
Jagat Ke Swami, Ye Antaryaami
Main Tujh Se Kya Maangu'n


 
Jis Raah Ki Manzil Tera Milan Ho, Uspe Kadam Main Badaayu'n
Phoolo'n Mein - Khaaro'n Mein, Patjhad - Bahaaro'n Mein
Main Na Kabhi Ladkhadaayu'n, Main Na Kabhi Ladkhadaayu'n
Yug-Yug Se Pyaase Ko Taqdeer Ne Jaise, Ji Bhar Ke Amrit Pilaaya
Aisa Hi Sukh Mere Man Ko Mila Hai, Main Jab Se Sharan Teri Aaya.. Mere Raam


 
Sochta Hu'n Agar Main Duya Maangta
Aaj Apne Khuda Se Main Kya Maangta
Jab Se Tujh Se Muhobbat Main Karne Lagaa
Tab Se Ibaadat Main Karne Lagaa
Main Kaafir To Nahi'n, Magar Aye Hasee'n
Jab Se Dekha, Maine Tujh Ko.. Mujh Ko
Bandagi Aa Gayi


 
Haath Jod Sab Ko Salaam Kar Pyaare
Is Duniya Mein Rahna Hai To Kaam Kar Pyaare
Varna Ye Duniya Jeene Nahi'n
Khaane Nahi'n Degi, Pine Nahi'n Degi
Kaam Koi Nit, Subah-Shaam Kar Pyaare


 
Itni Shakti Humein Dena Daata, Man Ka Vishwaas Kamzor Ho Na
Hum Chale'n Nek Raaste Pe, Hum Se Bhool Kar Bhi, Koi Bhool Ho Na


 
Jab Zulmo'n Ka Ho Saamna, Tab Tu Hi Humein Thaamna
Wo Buraayi Kare'n, Hum Bhalaayi Bhare'n
Nahi'n Badle Ki Ho Kaamna
Badh Uthe Pyaar Ka Har Kadam, Aur Mite Bair Ka Har Bharam
Neki Par Chale'n, Aur Badi Se Tale'n
Taaki Hanste Huye Nikle Dam


 
Khud Se Bhi Jo Khud Ko Chhupaaye'n.. Kya Unse Pahchaan Kare'n
Kya Unke Daaman Se Lipte'n.. Kya Unka Sammaan Kare'n
Jin ki Aadhi Neeyat Ubhre.. Aadhi Neeyat Chhupi Rahe
Naqli Chahra Saamne Aaye, Asli Soorat Chhupi Rahe


 
Mere Man-Mandir Mein Tum Bhagwaan Rahe
Mere Dukh Se Tum Kaise Anjaan Rahe
 

Sunday, October 18, 2009

Animals In Love


Dil Mein Hi Mujh Ko Rakhna, Aankho'n Mein Na Basaana
Aankho'n Ki Is Gali Mein, Hai Ik Sharaab-Khaana
Main Is Taraf Gayaa To, Ho Jaayunga Sharaabi
Mujhe Dil Mein Band Kar Lo, Dariya Mein Fenk Ko Do Chaabi



Bahut Pyaar Karte Hain, Tum Ko Sanam
Kasam Chaahe Le Lo
Kasam Chaahe Le Lo, Khuda Ki Kasam
Bahut Pyaar Karte Hain, Tum Ko Sanam
 

 
 Ek Maina Thi, Meena Naam Ki
Us Se Lad Gayi Chonch, Ganga Ram Ki
Ek Hi Daali Pe, Dono'n Rahte The
Ek Dooje Se Wo, Ye Kahte The
Pyaar Karna To, Apne Haath Hai
Paana Aur Khona, Kismat Ki Baat Hai


Dil Mein Ho Tum, Saanso'n Mein Tum
Bolo Tumhein Kaise Chaahu'n
Pooja Karu'n, Sajda Karu'n
Jaise Kaho, Vaise Chaahu'n
Jaanu, Meri Jaanu
Jaan-e-Jaana, Jaanu

 
Hum Kaale Hain To Kya Huya, Dil Wale Hain
Hum Tere.. Tere.. Tere, Chaahne Wale Hain

  
Hum Tumhein Chaahte Hain Aise
Marne Wala Koi..
Marne Wala Koi, Zindagi Chaahta Ho Jaise
Hum Tumhein Chaahte Hain Aise

  
Dheere-Dheere Bol, Koi Sun Na Le
Sun Na Le, Koi Sun Na Le

Hum Ko Kisi Ka Dar Nahi'n
Koi Zor Jawaani Par Nahi'n

  
Teri Baajuyo'n Mein Aa Kar, Mera Pyaar Chain Paaye
Tere Gesuyo'n Mein Chhup Kar, Main Jahaa'n Ke Gham Bhula Du'n
Mere Dil Mein Aaj Kya Hai, Tu Kahe To Main Bataa Du'n

  
Kabhi Bolu'n Main, Kabhi Bole Tu
I Love You, Love You - Love You

Tu Ne Mujh Pe, Maine Tujh Pe
Kar Diya Jaadu
I Love You, Love You - Love You

  
Khullam-Khulla Pyaar Karenge, Hum Dono'n
Is Duniya Se Nahi'n Darenge, Hum Dono'n

Pyaar Hum Karte Hain, Chori Nahi'n
Mil Gaye Dil, Seena-zori Nahi'n

Hum Wo Karenge, Dil Jo Kahe
Hum Ko Zamaane Se Kya

  
Kal Nahi'n Aana, Mujhe Na Bulaana
Ke Maarega Taana, Zamaana
Tere Hontho'n Pe Ik, Ye Bahaana Tha
Gori Tujh Ko Aaj, Nahi'n Aana Tha
Tu Chali Aayi Duhaayi, Oye Kya Baat Ho Gayi

Maine Chhoda Zamaana, Tere Saath Ho Gayi
Maine Chhoda Zamaana, Tere Saath Ho Gayi

  
Koi Kahe, Kahta Rahe, Kitna Bhi Hum Ko Deewana
O Hum Logo'n Ki, Thokar Mein Hai Ye Zamaana
Gaayenge Hum, Mil Kar Nayaa Taraana
O Hum Logo'n Ki, Thokar Mein Hai Ye Zamaana

  
Jumma Chumma De De
Jumma Chumma De De, Chumma
Jumme Ke Din Kiya Chumme Ka Vaada
Jumme Ko Tod Diya Chumme Ka Vaada
Le Main Aa Gayaa, Jumma
Jumma Chumma De De, Chumma

  
Pyaar Se Pyaar Karo, Ye Duniya Pyaar Ki Hai
Pyaar Bina Bhi Kya Jeena, Ye Bhi Koi Zindagi Hai
Pyaar Zindagi Hai, Pyaar Vandagi Hai
Vandagi Hai